Birthday of my Ex

 

Birthday of my Ex .

Disclaimer; It’s a just hypothetical story based on my imagination so I am requesting to you all for not relating this with anyone else or with me.

 

Maine aaj   aapko apne ek dost sammer ki btane jaa rha hu.

Yah bat h sameer aur uske girlfriend Aisha ke break-up ho jane  ke bad , ki mtlb jo ek pyraa sa rhista tha uske tut jne ke bad ka yah kissa hai .

Maine puchta hu ki hum asia kuy expect krte hai ki rhista tut jne ke bad bhi ,  ape ex se “hii/ hello” ki umid rkhte hai ya kisi  event par usse wish ki expectation rkhe……

Aisa hi tha Aisha aur Sammer ka ….to chaliye mere sath un dono ki us khubsurat duniya maine……

“Raat ke 12 :30 baj rhe the , itne sannate bhari raat maine uska ghadi ki aawaj saaf sunai de rhi thi  tik tik tik, wo sink ke pass khadi thi uska phone ting tring krke baje jaa rha tha sbka message aarha tha, message birthday wish ka “ hi aaisha happy birthday to you “, hii aaishu happy birthday to you ,love you” aur aisha bhi sbka reply de rhi thi ,par Jiasa wo reply de rhi thi ,Aur yha aisha bhi sabko naap tol kr  reply de rhi thi …jiska chota ,message use bas uska nam phir  thanku , jiska bht lamba message use ek emoji aur kisi ne bht lamba message aur achi achi baat likhi thi to ek yellow ya blue colour ka heart wala emoji aur do line ka thank you . Par wo uske face par reflect nhi ho rha tha , mtlb yah ki woh khi n khi andar se dukhi h uske special day par bhi . Aur in sab ke bich wo ek khas message ya ek call ka kisi apne se jiska wo intzar kar rhi thi. Aur uska yah intzar use udas kiye jaa rha tha usko massyush kar rha tha .

Yah sab ho hi rha tha ki usko social media se ek aur notification aaya “Look back “ ke feature ka notification . Aree yah whi feature hai memory wala jisme yah batyega ki aaj ke din aapke  is - is dost ne aapko is photo maine tag kiya tha aur aisa hi bht kuch….par!!

Us lambi si  list maine phla nam kiska tha? Sammer ka !

Ha Sammer uska ex - boyfriend

Aur ho bhi kuy n wo hi to tha jo sbse phle message krta tha  aur waise bhi in social media plate forms ka algorithm aisaa hi hai ki aap jiska post phle dekhna chate hai wo hi top par hota h ,

**Aap yah bhi kah skte h “Privacy is a myth ,just like democracy”.**

Yah sab soch hi rhi thi ki  sbse phle Aisha ne sammer ka profile khola aur yah check kiya ki khi usne mujhe block to nhi kar diya n ya phir mujhe unfriend to nhi n kar diya hai ki jis wjh se notification nhi aaya , aur ek mje ki bat to yah  hai waise bhi Aisha  Sammer ka profile atleast  ek bar to har week stalk krti  hi krti thi . Aur aisha ne bhi use block ya un friend nhi kiya tha bas uska notification mute kar diya aur ufrid kr diya tha taki uska post bhi n dekhi pade aur wo unfriend wali awkward conversation bhi n ho.Aur Aisha bhii kisi banjaro ki trh ki  idhar udhar Sammer ki post ko bas dekh kar ruk jati ,Au yah bhi check kar leti ki Sammer ke life maine koi naya to nhi n aagya , kya chal rha h uske life maine, kya kar rha h wo ab , kha par h , kaisa h !!!

Aisha yah sab dekh kar  khud ko ek  tasalli dila diya li , ha! Chalo unfriend to nhi kiya h.Par turant hi uske dimag maine aaya ki .But wait usne abhi tk messag bhi to nhi kiya mujhe wo gusse se boli ki “haddd hi hogyi , mtlb tin saal hogya aur sbse phla wish wo krta thaw hi n  par is bar kuch nhi . Kya itna bhi deserve nhi krti, itna rude koi kaise ho skta h” . Par syd Usko  yad nhi hoga ….but wait hum dono ka bdy to same date par hai  phir usne kuy wish nhi  kiya .

Yah sab soch kar Aisha ko bht bura lga par usne khud ko ek jutha dilasa dene ke liye yah bola ki syd wo sogya hoga early bird jo thera!  Koi bat nhi kal subh uthega jb notification dekhega sabka tab kar dega .

Par wo andar hi andar bol rhi thi ki usko to wish krna cahiye tha n . aaj uska bhi bdy h maine use wish kru ya n kru , ek kam krti hu jne  deti hu nhi krti jb wo krega tb kr dungi.Abhi krungi to lagega ki maine uske liye mare jaa rhi hu .

Itna kuch sochte sochte usko ek thought aaya uske andar se ek aawaj aai “Oo hello! Miss aisa , aap ko agr yaad n ho to aapko ek baat yad karwa deti Hu. You were the only one jisne break up kiya ,use to krna bhi nhi tha , aur tumne hi to bola tha n bechare sammer ko,  ki aab kbhi wapas nhi aana mere pass  , samne se kbhi message mat krna , dur rhna , bhul jao mujhe , tum bht bure ho , wo sab galiyan , uski bejjati yad hai n ya bhul gyi” aur ab kya hua Miss Aisha ab kuy roo rhi ho agr usne birthday ke din par wish nhi kiya to kuy bura lg rha h jbki tumne hi  to mna kiya tha n, tumhri hi wish thi n ki ab wo message n kre ,to ab kis bat ka bura lag rha h aapko …haan!! Kya h yah sab nautanki. Please!! Grow up champ aaj birthday h yah sab sochne se koi fayda nhi ab jaa so jao  subh enjoy bhi to krna hai n .

Aaisha khud ke thought  se hi  har gyi usne realize kiya ki yah sab to maine hi  kiya hai,  par main  boli  ki bat nhin krne  ke liye  wish to kar skta tha n , aur uska bhi to birthday to  aaj hi hai n.

Yah sab sochte sochte raat ke 2 baj gye aur wo sone jaa hi rhi thi ki ek SMS aaya , SMS ek unknown number se tha par usko number kuch jaa pahcahana sa lga . Aur message tha ki “So gyi kya pgll ?, bahar balcony par to aao!”, tabhi bahra ke darwaje par ek daskhat hui , ek jan pahcanhi si aawaj aai “oyy nakchidi bhara to aao, aaj kuch to khash hai n …yaad hai yah bhi bhul gyi ”, yah sunte hi Aaisha ke kadam khud hi balcony ki trf badh chale bina uske izzazat ke .

Aur bahar sammer tha , wo  muskarte hue usko pass bulaya ek jor ki jahhpi diya aur kha  , Happy birthday I am sorry thoda late hogya tha kuyki mera doston ne der karwa diya.

Aur bas itna khate hi Aaisha roo padi aur uske gale lag gyi , Sammer usko chup karate hue bola aree pagll rone kuy lagi , haan maine manta hu ki hamare bich ab rishta possible nhi h, jo tut gya use phr se jod nhi skte h , tumhe aisa lgta tha aur ab khin-n-  khin main bhi yah manta hu ki future possible nhi hai to aise  bond ke hone se acha ki yah tut jayae whi shi hai.



Par yrr aishu hum  itne bhi to bure nhi hai n ki ek dusre ko wish na kar paye.And today is “Birthday of my Ex” to kaise miss kar skta tha  To bas wish krne ke liye aagya apne nakchidi ko , chalo ab chalta hu apna khyal rkhna aur khush rhna aur ha! Agr koi tumhre jindgi  maine aajaye to bta dena , tumhe to pta hoga hi bht stalk krti ho n …phir ek muskan dete hue bola ki sab janta hu maine meri profile bht stalk krti ho n. Yha bolte hue sammer Aaisha ko bye bolte hue chala gya .

The END

 

 

You know ki insan shi nhi ho n phri bhi hume kabhi kabhi uske sath rhiste nibhane padte hai par yha to insan shi hai bas wakt glt  hai .Par ek minute! uska kya yah mtlb hua ki wo rhista bhi glt hai ?.....  nhi n , har chiz hamere aapke hath maine nhi hoti har chiz hum apne hisab se badl nhi skte .

Par jo bhi ho apno ke kisi khash din par  aise wish kar dena wo to hamre hath maine hota hai n , use to hum kar skte h , to kuyn n kre . So sometimes its okk…….thik h !

“koi rhishta to nhi rha phir bhi ek tasleem lazmi si hai”

 

 

It’s a imagnery story and the character are;

Writer- Me myself(Harshit)

Boyfriend – Sammer

Girlfriend- Aishsa

(Disclamer ;-This is a hypothetical story and no intention to harm anyones emotions)

Comments

  1. Amazing storyline...You developed it beautifully and it looked so real. Keep making such stories buddy!

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  3. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Acid Attack !